बद्रीनाथ मन्दिर का इतिहास - PaharSe.com

Breaking

Sunday

बद्रीनाथ मन्दिर का इतिहास

Badrinath temple history in hindi, 


क्याें जाते हैं लोग बद्रीनाथ || क्या है बद्रीनाथ की की कहानी Badrinath temple history hindi||Badrinath mandir hinduo ke sabse pavitra tirth places me se ek hai ye bharat ke chardham me se bhi ek hai,



Badrinath kaha hai ? Where is badrinath


Badrinath mandir uttarakhand state ke chamoli district me  hai, Geography ke hisab se Badrinath temple  garhwal Himalaya me hai, iske piche  nilkanth mountain peak hai jo nar narayan mountain series me hai.  agar hum badrinath ki see level se hight ki baat kare  to ye 3133 meeter (10248 feet) hai,

Badrinath ki kahani ? Badrinath ka itihas

Mana jata hai ki ek bar Badrinath me bhagwan vishnu tapsya kar rahe  the tapsya karte karte bahut samay beet gaya aur bhari snowfall hone laga, in sab se vishnu ji ko bachane ke liye devi lakshmi ne  ek badri yani Ber ke tree ka rup dharan kar liya, iss  karan se hi baad me bhagwan Vishnu ke is dham ko badrinath ke naam se pooja jata hai. Ber ke tree ko Sanskrit me badri kehte hai.

badrinath ke pandit ? pujari of badrinath

badrinath ke mukhya pandit south India se hote  hai inko Rawal kehte hai inke saath anya pandit Ji bhi hote hai wo  kshetriya hi hote  hai.

Badrinath kis  nadi ke kinare basa  hai ?


badrinath temple ki history in hindi
Badrinath mandir alaknanda river ke kinare par hai, mano ye river Vishnu Ji ke charno ko sparsh karke aage  ja rahi ho.

Tapt kund in hindi , where is tapt kund ?

Badrinath mandir ke dwar  ke pass hi ek garam  paani ka ek kund Tapt kind hai   means ek chota pond hai jiske pani temperature 50°c se jyada rahta hai jabki badrinath ka temperature us time 10°c ke aaspas hora hai, sabhi bhakt iss  garm  pani se naha kar bhagwan shri badri vishal ke darshano ke liye jate hai.

Baikunth dham kaha hai ? Where is baikunth dham ?

Bhagwan Vishnu ke niwas karne ke karan ise  baikunth dham bhi kaha jata hai, iske darshan se jeevan tript ho jata hai.

kaha jata hai ki aadi guru Shankaracharya ji ne  bhagwan Vishnu ji ki murti ko vartman  jagah par isthapit kiya tha  Jo pehle pass me hi dusri jagah par thi.

Badrinath mandir kab band hota hai ?

badrinath ke kapaat 15 November ke aaspas band ho jate  hai, Six months ke liye  badri bhagwan Ji ki pooja jyotirmath ke narsinh mandir me hoti hai, badrinath ki yatra ke samay panch prayago ki yatra karna bhi jaruri mana jata hai.

Badrinath ka prasad , prasad of badrinath.

Bdrinaath mandir me chana dal Aur tulsi ka prasad chadya jata hai. Badrinath dham ke pass me hi kai prashidh dham Aur he inke bare me me aapko batata hu.

panch badri name , panch badri in hindi  ?
Panch badri me badrinath bhi shamil hai.

  1. Badrinath
  2. Yog dhyan badri : - pandukeshwar me hai.
  3. Aadi badri : - karnprayag me hai. bhagwan Vishnu ki black stone se bani murti hai.
  4. Vridh badri :- ise first badri kehte hai
  5. Bhavishya badri : joshimath ke pass hai.


  • Hanuman chatti :- yaha par bhagwan hanuman Ji ka mandir hai ek katha ke anusar ek bar jab five pandvo me se ek bheem bhrihm kamal lene  badrinath jaa rahe  the to unhe apni power par bahut  ego hua to hanuman Ji ne unka ye ego todne ke liye  ek old banar ka rup banakar apni punch bheem ke raste me rakh di, jab bhim ne  punch ko hatane ko kaha to hanuman Ji ne  kaha me bahut old hu tum hi hata do lekin wO use hata  nahi sake, tab hanuman Ji darshan diye aur  bhim ko Jane diya.
  • Vyas gupha :- iss gufa me hi vedvyas Ji ne Mahabharata Aur 18 purano ki rachna ki thi. In purano ko ganesh bhagwan ne  likha tha. Vedvyas Ji bolte  aur ganesh Ji likhte the.

Badrinath mandir ke vartman nirman garhwal vansh Aur katyuri vansh ke rajao ne karwaya.

Please niche share button dabaye, fb, twitter, par share karne ke liye. Agar mera article aapko pasand  aya ho to. Aur comments bhi like.

jai Badrinath.

No comments:

Post a Comment

comment Below.