उत्तराखंड पर्यटन नीति
Uttarakhand me kaunse tourist aate hai aur kyo aate hai ?
Tourist(पर्यटक ) two type ke hote hai ek videshi dusre domestic.uttarkhand me dono hi type ke tourist aate hai domestic bhi videshi bhi. Ab uttarakhand me jo bhi tourist aate hai wo kyo aate hai?
- Religious yatra
- leisure ( fursat ke pal bitane 🏂 😆 )
Uttarakhand me tourism ka kya Scope (क्षेत्र) hai ?
Uttarakhand mai uper diye two fields ke alawa tourism ke bhi kai fields hai jisme bahut scope hai.
- Adventures (रोमांचकारी ) Tourism :- romanchkari tourism mai ka matlab hai sudur attractive area ka exploration aur yatra.romanchak tourism teji se famous ho raha hai kyoki aaj log vacation bitane ke new tarike dhundte hai.isme unki capacity test hota hai.ye bhi three jagah par hote hai land,sky,water,example ke liye mountaineering,trekking,hand gliding,paragliding,bungee jumping,river rafting.
- Health (चिकित्सा) Tourism :- Iss ke liye ek word jo globally use hota hai wo hai Healthcare. Ayurvedic natural therapy, yoga, nursing and care aadi ka bhi ek bahut scope hai.
- Golf Tourism :- Golf game world me or India kafi teji se famous ho raha issme kaafi paisa bhi haiuttarakhand apne bugyalo ka use iske liye kar sakta hai.
- Eco Tourism :- Abhi sabhi ke liye environment ko bachana bahut jaruri hai. Aur EcoTourism se iss kaam ko karte hue bhi income genrate ki ja sakti hai.jaise ki Tiger reserve, elephant reserve ki safari,ya koi aur reserve jaise flower,fruits,ayurvedic medicine,plants.
Needs :-
- Investment in Uttarakhand Tourism :- uttarakhand me sab kuch to hai but jo aur chahiye wo hai investment infrastructure banane ke liye. Investment kaha se aayega?
- State Government investment :- uttarakhand state abhi naya hi hai yadi India ke other state se compare kare to. abhi iski other basic requirement important bhi hai jaise Hospital,School.to state jyada investment nahi kar sakti hai.
- Central Government investment :- central government ka investment bahut hi jaruri hai.wo bhi connectivity me jaise Airport,Highways,Trains and other big projects.
Jageshwar dham,Baijnath Temple,Devidhura,katarmal,virasat circuit ke development ke liye 81.94 crore rupye ke fund ki ghoshna ki jisme se 16.3 crore release ho chuke hai.chardham all weather road to jo better connectivity ke liye hai.saath hi other NH-ko four line banane ke projects, uttarakhand ko abhi ek international airport ki bhi aavashyakta hai.aur jo airport hai unme regular flights ki demand hai,
3. Private Investors :- yes private investors bhi bahut important hai jaise ki Top level hotels, resorts, amusement park, tour and travel operators, adventure game organizers,
Example:- 2016 me Delhi ke Vigyan Bhavan me Gov of India ki investor meet me uttarakhand ko 9 investor mile jinhone 507 crore ke investment ke agreement kiye.isse pata chalta hai ki investors ko bhi uttarakhand me scope dikhata hai. iss meet me sirf 5 state ko hi investor offer mile jinme se uttarakhand bhi ek tha.
Target for uttarakhand Tourism :- Uttarakhand tourism ke liye main Target hai ki yah uttarakhand ka development ka major factor bane aur jo opportunities hai unhe kaise use karke employment ko badhaye aur employment sab ko mile na ki kuch tak hi centralized rahe.
Aur videshi aur swadeshi tourist ki visiting ko Badaye, jo abhi dono swadeshi aur videshi mai India me hone wali total yatriyo ki visit ke 2.5% se bhi kam hai.currently Tamilnadu is no.1 with
Branding of Uttarakhand tourism :- Uttarakhand ko uttarakhand tourism ko ek brand ki tarah develop kar world ke har us visitor tak pahuchana chahiye jo yatra karne ki ichcha rakhata ho.
Branding uss hi tarah important hai jaise ek person ke liye reputation aur aap reputation achchhe kaam karne se hi kama sakte hai - " Jeff Bezos " founder of Amazon company

No comments:
Post a Comment
comment Below.